Posts

kosis

Kosis kr rhi hu mai rista nibhane kisi Utni he kosis tumhari bhi jaari h mujhse dur jane ki

bahane

Ab har baar ko mere nazar andaaj krne lage ho Dur ho tum mujhse ye bahane mujhe dene lage ho,  Arre chodo tum kya jano mohabbat ko, ye toh wo junoon hota hai jo duriyo se bhi mit nahi skta Agr mit rha hai tumhare mann se mera ye suroor toh meri mano wajah jarur koi aur hai jise chupnae k liye tum naye bahane banane lage ho

Mubarak

Aaj din h tumhara aur sukhriya hum tumhe krte h kuch behtraane lamhe saath gujaarne k liye Meri zindagi mai itni khushi laane k kiye, Mujhe apna bnane k kiye, Meri har paresani aur dukh ko uthaane k kiye Mere chehre p kabhi khushi toh kabhi gum laane k liye Jo ristaa humare beech bna hai usse nibhaane k liye Umar bhar mera saath dene ka wadaa jaatane k liye Sukhriya har uss pal ka hume pass laane k l iye

Dosti

Tere sath bitaaye hui har ek class yaad rahegi Wo class mai last mai baithkar ki hui  mastiyaan Wo teachers se chuupkar hotstar pe match dekhna Kabhi kabhi boring lectures mai ek shayar dost ka jabardasti shayari wale videos dikhana Toh kabhi bhooto ki baate Toh kabhi random trips k plan Kabhi surprise toh kabhi jabardasti wale presentation Fir lunch ya tea break mai wo pani puri n jalebi rabadi khana Aur kabhi kabhi family pack wala ice cream Aur kaise bhool skte h wo lectures skip krke movies p jana Bas ab bhool na jaye hum ye sab mastiyaan Kyuki career n bright future ki race mai sab bhagne waale h..ye bachpana ab sab bhoolne wale h Kuch naye dost kuch purani yaadein sab milakar bani hai ye aaj ki baatein Aiee dost tere saath bitaya hua wo har din aur har baat yaad rahegi

Jazbaa

Kuch krne ka jazbaa jab tak naa ayega tab tak Sapne na pure krne ke bahane milte rahenge

Hauslaa

Pareshaaniyaan bahut aayegi mere dost tere raaste mai Par rasta tabhi nazar aayega jab hauslaa buland ho