Thak gayi hu samaaj k liye dikhawa krte krte Ek pal toh khud k liye mujhe bhi jeene do Inn bandisho mai nahi rehna mujhe ko Ek pal toh khul kar mujhe bhi jeene do Lena hai saans mujhe bhi uss khuli hawa mai Aye samaaj k logo ab toh mujhe meri khushi k liye bhi jeene do
Baithe h durr pr nazar idhar h Khud h majboor pr fikar idhar h Kaisa h ye ehsaas jisse samajh nhi paate shayad kisi chuppe hue rishte ki shuruaat idhar h
Sapna tha mera kabhi kuch likhne ka Kabhi waqt kum pad gaya, kabhi sabdh kum pad gaye, Fir bhi aaj ye shuruaat ho he gayi, Fir bhi aaj ye shuruaat ho he gayi, ab sabdh bahut h par hum kum pad gye....